Monday, July 22, 2002

Ek Baar Aur Sahi

Woh Cha'nd Lamhe, Woh Kuch Baaten
Woh Hausla-Afzai, Ya Haaton se Mulakaten
Ek Pal mein hum laut chuke-the, unhi Galiyon mein
Jahan Hum Aksar Nazar Aate the
Par Abhi tho Hum Soch rahen hain
Ke Woh Najaane Kaunsa Mod Tha
Jahan Hum Kaee Baar Mil Chuke hain.

Woh Paigam Deti huee Muskan
Woh Khojthi hui Aanke
Kaee Nazare Ek Jalak Mein Dikhlaye
Par Afsos hai ke Ek bhi Yaad Na Aaye

Roohne phirse Karwat Badli
Kya Mein phir Jaag rahan hoon
Phir se Dil mein Tumhe paane ki Josh hai
Aur Zehan mein tumhe Khone ka Dar

Tanhai Yaad Dilaye Us Daur-ki
Jab Dilmein Aapki Arzoo Jawan thi
Shayad Aapko Kuch Kehna Hai
Shayad Humein Wohi Sun-na hai