Saturday, January 29, 2005

Ek Aur Saal Guzar Gaya

Guzarta hai waqt, kaTte hain lamhe,
zindagi lekin har baDte hue kadam se,
ek naya josh,ek nayi maksad,
hardum pesh karta hai,

kalke yaadonke chilke fainkdo
to aajke nayein muphali milte hain
kushi manaon ke tumhare kal guzar gaya,
kuch aise bhi log hote hain,
jo ateet mein har aaj vyateet karte hain.

Saturday, November 27, 2004

Talaash

Bus Chal raha hai,
Be-busi chala rahi hai.
Maze' lekin khoob uTa raha hoon,
Safar ke Sifar Ka Nasha Kuch Aur hi hai.

Monday, July 22, 2002

Ek Baar Aur Sahi

Woh Cha'nd Lamhe, Woh Kuch Baaten
Woh Hausla-Afzai, Ya Haaton se Mulakaten
Ek Pal mein hum laut chuke-the, unhi Galiyon mein
Jahan Hum Aksar Nazar Aate the
Par Abhi tho Hum Soch rahen hain
Ke Woh Najaane Kaunsa Mod Tha
Jahan Hum Kaee Baar Mil Chuke hain.

Woh Paigam Deti huee Muskan
Woh Khojthi hui Aanke
Kaee Nazare Ek Jalak Mein Dikhlaye
Par Afsos hai ke Ek bhi Yaad Na Aaye

Roohne phirse Karwat Badli
Kya Mein phir Jaag rahan hoon
Phir se Dil mein Tumhe paane ki Josh hai
Aur Zehan mein tumhe Khone ka Dar

Tanhai Yaad Dilaye Us Daur-ki
Jab Dilmein Aapki Arzoo Jawan thi
Shayad Aapko Kuch Kehna Hai
Shayad Humein Wohi Sun-na hai